Monday, December 22, 2008

Kahan aa kay ruknay thay rastay, by Amjad Islam Amjad

Kahan aa kay ruknay thay rastay, kahan mor tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahin mila usay bhool ja

wo tere naseeb ki barshain kisi aur chat pe baras gayain
dil-e be khaber mari baat sun usay bhol ja, usay bhul ja

main to gum tha tere dhyan main teri aas tere guman main
saba keh gai mere kaan main, mere saath aa usay bhol ja

tujhay chand ban kay mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha aik darya visal ka, so utar gaya usay bhol ja

Kaheen Chak-e-Jaan Ka rafoo Nahee, Kisse Asteen Pay Lahoo Nahee
Keh Shaheed-e-Rah-e-Millal Ka Nahee Khun Baha, Ussay Bhool Ja

Kyun Atta Howa Hai Ghubar Main, Gham-e-Zindagee Kay Fishaar Main
Woh Joo Darj Tha Tairay Bakhat Main Soo woh Hoo Giya, Ussay Bhool Ja

Na Woh Ankh Tairee Ankh Thee, Na Woh Khawab Hee Taira Khawab Tha
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liay Taira Jagna, Ussay Bhool Ja

Yeh Joo Raat Din Hai Khel Sa, Issay Dekh, Iss Par Yaqeen Na Kar
Nahee Aks Koi Bhee Mustaqil Sar-e-Aieena, Ussay Bhool Ja

Joo Bisat-e-Jaan Hee Ulat Giya, Woh Joo Rastay Say Palat Giya
Ussay Rooknay Say Hasool Kiya, Ussay Mut Bulla, Ussay Bhool Ja

No comments: